Aaj jahan kuch additional links kholay to kuch mard hazraat bloggers main apnay gird o navah ki nafrat aamaiz baatain likhvaanay ka jo silsila ravaan davaan hai us nay hamaray dil main bhi josh ki do chaar lehrain baha deeen, par afsoos kisi mousoof ko yeh toufeeeq na hui kay khawateen ko bhi is muqaablay main barabar ka shareek kar liya jaey! Isi leay khud hi apnay aap ko shareek kar baithi hun.
Khair! aaj bara dil karaha hai kuch mazah aur sanjeedgi ko mila kar takhleeq karnay ka aur woh bhi khaalisatan URDU main par haey yeh mairi jahalat keh lijiay kay maadri zabaan hotay huay bhi aur saath main urdu likhnay ki tamam sahoolatain bhi mojood hain PC main, par apni urdu tehreer karnay ki jo raftaar hai na ………. mujhay khauf tha kay kaheen is post kay ikhtitaam honay tak baaloon main chandi na jhaanknay lag jaey…hehehehe!
Mairi chand (takreeban 10) woh baatain jin say main aajiz aa chuki hun paish e khidmat hain!!!!!
1) Zaroorat say ziada hassaass hojana, aur kuch baatoon main to uff had hojati hai, hae hum beechari larkiyaan kitni faltoo ki baatoon ko dil pey lay leyti hain. Khair, Allah kay karam say waqt nay kafi behtri dikhai hai aur kuch khud bhi control hai.
2) Dil ki baat ka izhaar na karna….aur baad main phir khoob jalna kurhna aur rona dhona
3) Ghussay ka ghalat waqt pay aajana
4) Aksar khalaon main gum rehna
5) Bay panah kaam jab achanak aa paray to har bara jana
6) Gheebat say laakh koshish ka baad bhi chutkara na paana
7) Kaahili baratna jo mairi hi choti behen ka naam hai
Khana pakatay waqt jaantay boojtay namak mirch main izaafa karna
9) Choti Choti baatoon par aksar ro dena
10) Presentation deliver kartay waqt eye contact ka sifar hona
Ufffffff kafeee kuch bacha hai, ab pata nahi qavaneen ki khilaaf warzi jaiz hai ya nahi isi liay yeh silsila munqata karna paray ga. Lakin baaz auqaat kafi fazool tags pay madooo kiya jata hai kay lutf nahi ata likhtay waqt, yahan is kay baraks paya so khud hi shamooliat ikhtiyaar kar li.
Haan to larkiyon hum kion peechay rahain, Madoo karti hun!